adnow

Paytm money ko bank account me kaise transfer kare

  Recharge, Bill Pay & Wallet- screenshot thumbnail     Recharge, Bill Pay & Wallet- screenshot thumbnail     Recharge, Bill Pay & Wallet- screenshot thumbnail
Paytm aj ka ek sabse bada paltform ban chuka hai aj ke samay me hum har kam ghar baith ke hi kar sakte hai hume shop par bhi jana ni padega aur yahi sare kam karne me paytm humari madad karta hai ap sabhi log paytm ke bare me to jante hi honge agar ni jante hai to koi bat ni chaliye mai apko batata hu paytm ek website  hai jisse hum ghar baith ke  online shopping kar sakte hai ,Mobile recharge kar sakte hai ,Dth recharge kar sakte hai ,electiric bill payement kar sakte hai , bus ticket book kar sakte hai , flight ticket book kar sakte , movie ticket book kar sakte etc. Jitne bhi sare online kam hote hai bo sab hum paytm ke dwara kar sakte aur ye bhut hi bhadiya service hai paytm ki aur isme sabse achi bat to yeh hai agar suppose apne Electicity  ka payement kiya to isme apko 10 percent cash back bhi milega yani 10 percent apka paisa vapas aa jayega abhi tak internet par esi koi company ni jo esi service deti ho vaise aj hum apko batayenge ki paytm cash ko bank account me kaise transfer kare thode din pehle esi suvidha ni thi jisse  paytm money ko bank account me transfer kiya jaye is company ne thode hi din pehle esi suvidha nikali hai chaliye ab mai apko batata hu iske bare me 

Paytm money ko bank me kaise transfer kare

(How to Paytm money transfer to Bank account)

Paytm money(cash) ko bank account me transfer karna bhut hi aasan hai ye suvidha paytm company ne thode din pehle hi nikali hai bhut se paytm users ko iska bare me pata bhi ni hoga ab mai apko iski puri process batata hu kaise kare ye sab 

Step 1). Sabse pehle ap playstore se paytm app download kar lijiye yaha niche di hui link se bhi kar sakte hai


Step 2). Ab paytm app ko apne phone me install kariye uske bad usko open kare aur open karne ke bad apni Account log in kare

Step 3). Ab apke samne kuch option aa rae honge pay or sendmoney , Add money,passbook,Request kuch is tarah ke option honge yaha par apko par or sendmoney par click karna hai

Step 4). Ab fir upar line me fir kuch option ayenge jisme apko Sendmoney to bank yaha par ap click kariye fir ek  form khul kar ayega jisme apko sai sai information bharni padegi

*. Account holder name - yaha apko bahi name dalna jo apki bank passbook me likha ho

*. Account number - yaha apko apne bank account ka account no. Dalna hau jo apko passbook me mil jayega

*. IFSC code - apko bank passbook me mil jayega isko daliye fir ye apne ap verify ho jayega

*. Amount - yaha apko jitne bhi rupay transfer kar bo bhare

*. Ye option khali chod de ya yaha par kuch bhi likh dijiye xyz

Ab ap ek bar dubara se check kar le sab sai sai bhara hai ya ni uske bad send button par click kar dijiye bas 4 hours wait kariye apke bank accountvme money transfer ho jayega

Note : yaha par 100 se kam balance transfer ni kar sakte aur ye feauters sirf paytm ke new version aya hai agar apke pas pehle se hi paytm app mobile me install hai to usko ek bar playstore par jake update kar lijiye
I hope apko ye article pasand aya hoga esi hi aur bhi useful post is site par hai ap unhe bhi padhiye agar apko ye article pasand aya isko social media par share jarur kare

Thank you friends nd have a nice day